Haryana ki mitti - "Maa"
Haryana ki iss mitti ko; kyu haivaan tumne banaya?; is khoobsurat si nagariya ko; fir ek baar hai jalaya__ Matrabhoomi hai ye tumhari; jisko tumne dukh pahchaya; maafi ke kabil nahi ab tum sab; fir bhi maa ne tumhe bachaya__ Bachpan ki zaroorato ko; maa se maanga karte the; ab jab bade tum ho gaye ho; maa se cheena karte ho__ Rail, road aur dukaano pe; tum sabne hai kehar barpaya; harkate ye koi or kare toh; naksalvaadi vo kehlaya__ "Jati" nahi hai ye tumhari; Jo pichda tumhe banaye; Dange jaise maahol banaya; Isliye tum pichde kehlaay__ Aarakshan ki iss daud ne; andha hum sabko banaya; Haryana ki iss mitti ko; kyu haivaan tumne banaya?; kyu haivaan tumne banaya?__ Source