Haryana ki mitti - "Maa"
Haryana ki iss mitti ko;
kyu haivaan tumne banaya?;
is khoobsurat si nagariya ko;
fir ek baar hai jalaya__
Matrabhoomi hai ye tumhari;
jisko tumne dukh pahchaya;
maafi ke kabil nahi ab tum sab;
fir bhi maa ne tumhe bachaya__
Bachpan ki zaroorato ko;
maa se maanga karte the;
ab jab bade tum ho gaye ho;
maa se cheena karte ho__
Rail, road aur dukaano pe;
tum sabne hai kehar barpaya;
harkate ye koi or kare toh;
naksalvaadi vo kehlaya__
"Jati" nahi hai ye tumhari;
Jo pichda tumhe banaye;
Dange jaise maahol banaya;
Isliye tum pichde kehlaay__
Aarakshan ki iss daud ne;
andha hum sabko banaya;
Haryana ki iss mitti ko;
kyu haivaan tumne banaya?;
kyu haivaan tumne banaya?__
Source |
Comments
Post a Comment